cooker mein mix all these:-
a katora arhar pe 3 katora paani
2 big tomatoes
6-8 lahsooon ki kali - koot ke
1 inch adarak- koot ke
3 mirch
15-20 kadhi patta
1 teaspoon tel
bina namak haldi ke isse ubal le - kitni whistles - (2 in hawkins/prestige) - slow aanch pe
------------------------
side by side
sehjan
muli
gobhi
bhindi
onion -
etc ke medium tukde kar lijiye.
adha patila paani mein ubal lijiye + namak haldi dal dijiye
tab tak ubaliye jab tak sabjiyon mein nakhoon dhasne lagein.
sambhar masala ubalti sabji mein dal dijiye.
paani jyada kam nahi hoga iss process mein.
cooker ka saara samagri iss mein dal dijiye aur ubaliye 10 min tak.
-------------------------------------
phir badi kadhai mein
tadke ka samagri - onion adarak aur garlic aur hari mirch rai aur kadhi patta aur hing dal ke fry kar lijiye.. golden hone tak.
ab usme ye sab mix kar dijiye aur imli ka paani mila kar 10 min pakne dijiye.
--------------------------------------------------
AAPKA SAMBHAR TAIYAR HAI....
-------------------------------------------
tips:-
- sabji saari na toote, isiliye ubalte sabjiyon mein imli paani dal dijiye.
- tadke mein bhi dal palta jaa sakta hai uske baad patile ka sabji paani sahit daal dijiye.
- patile ka paani bahar bahi phekna
- 1 aadmi ke liye 2 mutthi dal padega (sambhar mein daal jyada padta hai).
- 6 daane wala imli teen aadmiyon ke liye